![]() |
Yin yang |
Bachpan sey ham yeh sunty our samajhty aaty hein kay duniya mein do tarah kay insan hoty hein, achy our bury yani safaid our sayah. Laikin kaya duniya mein sirf do hi rang moujoud hein?Nahi, duniya toh bohot sey rango sey bhari hei kuch chamakdaar, kuch gehry. Phir ham insano par yeh cheez kaisey musallat kar sakty hein?
William Shakespeare ney kaha tha: " There is nothing either good or bad, but thinking makes it so " Koi bhi cheez ya insan mukammal sayah ya safaid nahi hota, insan burai our achai dono ko apny andar liye hue hei, sayahi our safaidi ka murakabb (mixture). Farq yeh hei har insan mein inki tanasub (proportion) mukhtalif hoti hei. Magar woh insan jis mein 90 % burai hei woh mukammal bura toh nahi naah, usmein 10% achai bhi toh moujoud hei. Jaisa kay farz karty hein aiq shahs hei jo chouri karta hei, magar apny ghar walon kay liye toh woh naram dil hi hei, sarak par zahmi pary aakhri saans laity jaanwar ko daikh kar toh uski aankhon mein bhi narm taasur utar aata hoga. Isi tarah koi naik khatoon hein, jo namaz parhati hein, adkaar karti hein, magar apni sahaili kay sath baith kar shayad woh kisi ki gheebat kar daiti hun? shayad woh shohar ki nafarmaan hun. Isliye kisi ko bhi acha ya bura label nahi kiya ja sakta, ya shayad kisi ko jaancha hi nahi ja sakta. Qunkay dilon kay haal toh sirf Allah (God) janta hei. Ham kisi kay zaahir afaal sey uski niyatt, usky dil ki haalat nahi jaan sakty. Magar ham yeh baat nahi tasleem karty, ham logon ko unky zaahari amaal sey hi judge karty hein, koi larka cigarette peeta hei toh woh jahanumi hei, koi larki sar nahi dhaanpati toh woh gunahgaar. Mein yaha hargiz yeh nahi keh rahi kay yeh log theak hein ta inky yrh amal theak hein, ya phir hamein unko achai ki targheeb nahi daini chahiye. Magar kamazkam unhy judge matt karein. Unky zaahri amal ki bunyaad par unko kamtar na samjhein, unki tazleel na karein. Ham mein sey koi nahi jaanta, kay dousra insan kitna acha.
Yeh amal na karna qu zuroori hei? Qunkay yeh hamein ghuroor ( proud, arrogancy) sey bachaty hein. Logo kay darmayan ehsaas, yaqeen our ikhlaas ka rishta qaim hota hei. Isliye agar aap acha iklaaq apnaana chahty hein, ya is duniya mein sukoon sey zindagi guzaarnna chahty hein toh dousron ko judge karna chour dein, logo ko sayah our safaid rang mein taqseem karna chour dein, our har insan ko usky anookhy our munfdarid rang kay sath apnany ki koshish karein.
6 Comments